Shayari
tum ne to faqat us ki rivaayat hi suni hai
ham ne vo zamaana bhi guzarte hue dekhaa
kuchh aur din abhi is jaa qayaam karnaa thaa
yahaan charaagh vahaan par sitaara dharnaa thaa
کچھ اور دن ابھی اس جا قیام کرنا تھا
یہاں چراغ وہاں پر ستارہ دھرنا تھا
कुछ और दिन अभी इस जा क़याम करना था
यहाँ चराग़ वहाँ पर सितारा धरना था

tum ne to faqat us ki rivaayat hi suni hai
ham ne vo zamaana bhi guzarte hue dekhaa
zaraa se rizq mein barkat bhi kitni hoti thi
aur ik charaagh se kitne charaagh jalte the
ye raah-e-talab yaaro gumraah bhi karti hai
saamaan usi kaa thaa jo be-sar-o-saamaan thaa
aaina aaina tairtaa koi aks
aur har khvaab mein dusraa khvaab hai
kuchh badan ki zabaan kahti thi
aansuon ki zabaan mein thaa kuchh
fazaa mein haath to uTThe the ek saath kai
kisi ke vaaste koi duaa na kartaa thaa
aa mire chaand raat suuni hai
baat banti nahin sitaaron se
ek bhi aaftaab ban na sakaa
laakh TuuTe hue sitaaron se
falak ne bhi na Thikaanaa kahin diyaa ham ko
makaan ki niiv zamin se haTaa ke rakkhi thi
mujhe rahnaa thaa tiri aankh mein aansu ki tarah
main to naakaam huun ai dost sitaara ban kar
ye kis hisaab se ki tu ne raushni taqsim
sitaare mujh ko mile maahtaab us kaa thaa
aate rahte hain falak se bhi ishaare kuchh na kuchh
baat kar lete hain ham se chaand taare kuchh na kuchh