Shayari
jo kuchh ishaare hote hain sab dekhtaa huun main
saari sharaarat aap ki meri nazar mein hai
N
Nizam Rampuriab kyaa milein kisi se kahaan jaaein ham'nizaam'
ham vo nahin rahe vo mohabbat nahin rahi
اب کیا ملیں کسی سے کہاں جائیں ہم نظامؔ
ہم وہ نہیں رہے وہ محبت نہیں رہی
अब क्या मिलें किसी से कहाँ जाएँ हम 'निज़ाम'
हम वो नहीं रहे वो मोहब्बत नहीं रही
jo kuchh ishaare hote hain sab dekhtaa huun main
saari sharaarat aap ki meri nazar mein hai
sach hai 'nizaam' yaad bhi us ko na honge ham
par kyaa karein vo ham se bhulaayaa na jaaegaa
teraa milnaa to hai mushkil magar itnaa to huaa
apnaa marnaa mujhe aasaan na huaa thaa so huaa
main na kahtaa thaa ki bahkaaenge tum ko dushman
tum ne kis vaaste aanaa mire ghar chhoD diyaa
kis qadar hijr mein behoshi hai
jaagnaa bhi hai hamaaraa sonaa
uThtaa huun us ki bazm se jab ho ke naa-umid
phir phir ke dekhtaa huun koi ab pukaar le
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tere shaidaa bhi hue ishq-e-tamaashaa bhi hue
tere divaane tire shahr mein rusvaa bhi hue
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
kyaa jaaniye ki ishq mein khuun ho gayaa ki daagh
chhaati mein ab to dil ki jagah ek dard hai