Shayari
tum ne likkhaa hai mire khat mujhe vaapas kar do
Dar gaiin husn-e-dil-aavez ki rusvaai se
kabhi khole to kabhi zulf ko bikhraae hai
zindagi shaam hai aur shaam Dhali jaae hai
کبھی کھولے تو کبھی زلف کو بکھرائے ہے
زندگی شام ہے اور شام ڈھلی جائے ہے
कभी खोले तो कभी ज़ुल्फ़ को बिखराए है
ज़िंदगी शाम है और शाम ढली जाए है

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai