Shayari
tire baghair tere intizaar se thak kar
shab-e-firaaq ke maaron ko niind aai hai
Q
Qaisar Nizamitamaam umr rahe meraa muntazir tu bhi
tamaam umr mire intizaar ko tarse
تمام عمر رہے میرا منتظر تو بھی
تمام عمر مرے انتظار کو ترسے
तमाम उम्र रहे मेरा मुंतज़िर तू भी
तमाम उम्र मिरे इंतिज़ार को तरसे
tire baghair tere intizaar se thak kar
shab-e-firaaq ke maaron ko niind aai hai
khizaan ki zad mein hi ab tak tiraa gulistaan thaa
hamin ne aa ke bahaaron ko zindagi bakhshi
tu saraapaa nuur hai main teraa aks-e-khaas huun
kah rahe hain yuun tiraa sab aaina-khaana mujhe
ab to rusvaaiyaan yaqini hain
un ke lab par miraa fasaana hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
dekhaa to zindagi mein bahut kaamyaab the
sochaa to jiit aai nazar maat ki tarah
kisi ke raaste ki khaak mein paDe hain 'zafar'
mataa-e-umr yahi aajizi nikalti hai
jald manzil tak pahunchne kaa junun us ko rahaa
zindagi bhar is liye rasta badaltaa rah gayaa