Shayari
dar-e-imkaan ki dastak mujhe bheji gai hai
meri qismat mein to maujud ki daulat nahin hai
ye kyaa ki baiThaa hai dariyaa kinaar-e-dariyaa par
main aaj bahtaa huaa jaa rahaa huun paani mein
یہ کیا کہ بیٹھا ہے دریا کنار دریا پر
میں آج بہتا ہوا جا رہا ہوں پانی میں
ये क्या कि बैठा है दरिया किनार-ए-दरिया पर
मैं आज बहता हुआ जा रहा हूँ पानी में

dar-e-imkaan ki dastak mujhe bheji gai hai
meri qismat mein to maujud ki daulat nahin hai
kyaa ho sake hisaab ki jab aagahi kahe
ab tak to raaegaani mein saaraa safar kiyaa
ye jhaank leti hai andar se aarzu-khaana
havaa kaa qad miri divaar se ziyaada hai
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
sab ummidein mire aashob-e-tamannaa tak thiin
bastiyaan ho gaiin gharqaab to dariyaa utraa
chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
miri is chashm-e-tar se abr-e-baaraan ko hai kyaa nisbat
ki vo dariyaa kaa paani aur ye khun-e-dil hai barsaati
chaand hai paani mein yaa bhule hue chehre kaa aks
saahil-e-dariyaa pe dekho main bhi hairaani mein huun
jis taraf ko main gayaa rotaa huaa
taa-falak ru-e-zamin dariyaa huaa