Shayari
mai pi jo chaahe aatish-e-dozakh se tu najaat
jaltaa nahin vo uzv jo tar ho sharaab mein
Q
Qayem Chaandpuridil se bas haath uThaa tu ab ai ishq
deh-e-viraan par khiraaj nahin
دل سے بس ہاتھ اٹھا تو اب اے عشق
دہ ویران پر خراج نہیں
दिल से बस हाथ उठा तू अब ऐ इश्क़
देह-ए-वीरान पर ख़िराज नहीं
mai pi jo chaahe aatish-e-dozakh se tu najaat
jaltaa nahin vo uzv jo tar ho sharaab mein
kahtaa hai aaina ki hai tujh saa hi ek aur
baavar nahin to laa main tire ru-ba-ru karun
gandumi rang jo hai duniyaa mein
meri chhaati pe muung daltaa hai
iraad kar na paDh ke miraa khat ki ye tamaam
be-rabtiyaan hain samra-e-hangaam-e-ishtiyaaq
koi din aage bhi zaahid ajab zamaana thaa
har ik mohalle ki masjid sharaab-khaana thaa
TuuTaa jo kaaba kaun si ye jaa-e-gham hai shaikh
kuchh qasr-e-dil nahin ki banaayaa na jaaegaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
binaa dekhe kisi se ishq kar ke sochtaa huun main
nahin dekhaa hai kuchh to ishq aakhir dekhtaa kyaa hai
jaane kitne hi shanaavar ishq ke dariyaa mein Duube
kaise bachtaa main bhi us dariyaa se jo pyaasaa bahut hai
miri aankhon mein aa jaanaa to ik maa'mul hai lekin
mohabbat zor karti hai to vo saanson mein aataa hai