Shayari
sazaa ke jhelne vaale ye sochnaa hai gunaah
koi qusur bhi tujh se kabhi huaa ki nahin
R
Raaz Yazdanivo saamne sar-e-manzil charaagh jalte hain
javaab paanv na dete to main kahaan hotaa
وہ سامنے سر منزل چراغ جلتے ہیں
جواب پاؤں نہ دیتے تو میں کہاں ہوتا
वो सामने सर-ए-मंज़िल चराग़ जलते हैं
जवाब पाँव न देते तो मैं कहाँ होता
sazaa ke jhelne vaale ye sochnaa hai gunaah
koi qusur bhi tujh se kabhi huaa ki nahin
Thahar ke talvon se kaanTe nikaalne vaale
ye hosh hai to junun kaamyaab kyaa hogaa
agar gunaah ke qisse bhi kah diye tujh se
gunaahgaar ko yaarab savaab kyaa hogaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
dimaagh un ke tajassus mein jism ghar mein rahaa
main apne ghar hi mein rahte hue safar mein rahaa
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain