Shayari
aap ko jitne qavaafi mil sake farhang mein
un ko Thunsaa laa ke ghazlon ki qabaa-e-tang mein
kabhi jo khidmat-e-qaumi kaa paar letaa huun
to muflison ki langoTi utaar letaa huun
کبھی جو خدمت قومی کا پار لیتا ہوں
تو مفلسوں کی لنگوٹی اتار لیتا ہوں
कभी जो ख़िदमत-ए-क़ौमी का पार लेता हूँ
तो मुफ़लिसों की लंगोटी उतार लेता हूँ

jism-e-aazaadi mein phunki tu ne majburi ki ruuh
khair jo chaahaa kiyaa ab ye bataa ham kyaa karein
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
royaa thaa kaun kaun mujhe kuchh khabar nahin
main us ghaDi vatan se kai miil duur thaa
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
firaaq-e-khuld se gandum hai sina-chaak ab tak
ilaahi ho na vatan se koi gharib judaa
hai ajab nizaam zakaat kaa mire mulk mein mire des mein
ise kaaTtaa koi aur hai ise baanTtaa koi aur hai