Shayari
kyaa zikr ki is ziist mein kuchh khoyaa ki paayaa
ab kuchh bhi to rakkhaa nahin is suud o ziyaan mein
S
Saba Nusrattujh se duuri aur qayaamat lagti hai
aapas mein do vaqt jo milne lagte hain
تجھ سے دوری اور قیامت لگتی ہے
آپس میں دو وقت جو ملنے لگتے ہیں
तुझ से दूरी और क़यामत लगती है
आपस में दो वक़्त जो मिलने लगते हैं
umr bhar sang-zani karte rahe ahl-e-vatan
ye alag baat ki dafnaaeinge eazaaz ke saath
tiri zamin pe kartaa rahaa huun mazduri
hai sukhne ko pasina muaavza hai kahaan
tamannaa ik tarah ki jaan hai jo marte dam nikle
judaai ik tarah ki maut hai jo jite-ji aae
ham aaj hanste hue kuchh alag dikhaai diye
ba-vaqt-e-girya ham aise the, saare jaise hain
milnaa thaa ittifaaq bichhaDnaa nasib thaa
vo utni duur ho gayaa jitnaa qarib thaa
saalgirah par kitni nek tamannaaein mausul huiin
lekin in mein ek mubaarakbaad abhi tak baaqi hai