Shayari
fasl boi bhi ham ne kaaTi bhi
ab na kahnaa zamin banjar hai
chilchilaati-dhup thi lekin thaa saaya ham-qadam
saaebaan ki chhaanv ne mujh ko akelaa kar diyaa
چلچلاتی دھوپ تھی لیکن تھا سایہ ہم قدم
سائباں کی چھاؤں نے مجھ کو اکیلا کر دیا
चिलचिलाती-धूप थी लेकिन था साया हम-क़दम
साएबाँ की छाँव ने मुझ को अकेला कर दिया

fasl boi bhi ham ne kaaTi bhi
ab na kahnaa zamin banjar hai
us ke shar se main sadaa maangtaa rahtaa huun panaah
isi duniyaa se mohabbat bhi balaa ki hai mujhe
hans hans ke us se baatein kiye jaa rahe ho tum
'saabir' vo dil mein aur hi kuchh sochtaa na ho
tire tasavvur ki dhuup oDhe khaDaa huun chhat par
mire liye sardiyon kaa mausam zaraa alag hai
ye kaarobaar-e-mohabbat hai tum na samjhoge
huaa hai mujh ko bahut faaeda khasaare mein
ham us ki khaatir bachaa na paaeinge umr apni
fuzul-kharchi ki ham ko aadat si ho gai hai
mohabbat karne vaale dard mein tanhaa nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apnaa dil dukhaaoge
yaar tanhaa ghar mein hai afsos lekin ham nahin
huur to hai gulshan-e-firdaus mein aadam nahin
vasl mein khaali hui ghair se mahfil to kyaa
sharm bhi jaae to main jaanun ki tanhaai hui
go mujhe ehsaas-e-tanhaai rahaa shiddat ke saath
kaaT di aadhi sadi ek ajnabi aurat ke saath
saamne umr paDi hai shab-e-tanhaai ki
vo mujhe chhoD gayaa shaam se pahle pahle
akelaa ho rah-e-duniyaa mein gir chaahe bahut jiinaa
hui hai faiz-e-tanhaai se umr-e-khizr tulaani