Shayari
ham us ki khaatir bachaa na paaeinge umr apni
fuzul-kharchi ki ham ko aadat si ho gai hai
ye kaarobaar-e-mohabbat hai tum na samjhoge
huaa hai mujh ko bahut faaeda khasaare mein
یہ کاروبار محبت ہے تم نہ سمجھوگے
ہوا ہے مجھ کو بہت فائدہ خسارے میں
ये कारोबार-ए-मोहब्बत है तुम न समझोगे
हुआ है मुझ को बहुत फ़ाएदा ख़सारे में

ham us ki khaatir bachaa na paaeinge umr apni
fuzul-kharchi ki ham ko aadat si ho gai hai
fasl boi bhi ham ne kaaTi bhi
ab na kahnaa zamin banjar hai
us ke shar se main sadaa maangtaa rahtaa huun panaah
isi duniyaa se mohabbat bhi balaa ki hai mujhe
hans hans ke us se baatein kiye jaa rahe ho tum
'saabir' vo dil mein aur hi kuchh sochtaa na ho
tire tasavvur ki dhuup oDhe khaDaa huun chhat par
mire liye sardiyon kaa mausam zaraa alag hai
chilchilaati-dhup thi lekin thaa saaya ham-qadam
saaebaan ki chhaanv ne mujh ko akelaa kar diyaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tamaam jism ko aankhein banaa ke raah tako
tamaam khel mohabbat mein intizaar kaa hai
tum mohabbat ko khel kahte ho
ham ne barbaad zindagi kar li
yaa ilaahi is dil-e-betaab ki taamir mein
kis ne patthar rakh diyaa thaa ishq ki buniyaad kaa
apne dushman ko bhi mohabbat de
ishq ke daaere ko vusat de