Shayari
ab shahr-e-aarzu mein vo raanaaiyaan kahaan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhuup hai
jhilmilaate hue ashkon ki laDi TuuT gai
jagmagaati hui barsaat ne dam toD diyaa
جھلملاتے ہوئے اشکوں کی لڑی ٹوٹ گئی
جگمگاتی ہوئی برسات نے دم توڑ دیا
झिलमिलाते हुए अश्कों की लड़ी टूट गई
जगमगाती हुई बरसात ने दम तोड़ दिया

ab shahr-e-aarzu mein vo raanaaiyaan kahaan
hain gul-kade niDhaal baDi tez dhuup hai
kal jinhein chhu nahin sakti thi farishton ki nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hain
charaagh-e-tur jalaao baDaa andheraa hai
zaraa naqaab uThaao baDaa andheraa hai
log kahte hain raat biit chuki
mujh ko samjhaao! main sharaabi huun
ye zulf-bar-dosh kaun aayaa ye kis ki aahaT se gul khile hain
mahak rahi hai fazaa-e-hasti tamaam aalam bahaar saa hai
teri surat jo ittifaaq se ham
bhuul jaaein to kyaa tamaashaa ho
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
maango samundaron se na saahil ki bhiik tum
haan fikr o fan ke vaaste gahraai maang lo
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
ishq mein fikr to divaana banaa deti hai
pyaar ko aql nahin dil ki panaahon mein rakho
zaat mein jis ki ho Thahraav zamin ki maanind
fikr mein us ki samundar ki si vusat hogi