Shayari
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
phir na kiije miri gustaakh-nigaahi kaa gilaa
dekhiye aap ne phir pyaar se dekhaa mujh ko
پھر نہ کیجے مری گستاخ نگاہی کا گلا
دیکھیے آپ نے پھر پیار سے دیکھا مجھ کو
फिर न कीजे मिरी गुस्ताख़-निगाही का गिला
देखिए आप ने फिर प्यार से देखा मुझ को

le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhein zindagi ko kisi ki nazar se ham
ham jurm-e-mohabbat ki sazaa paaeinge tanhaa
jo tujh se hui ho vo khataa saath liye jaa
ham amn chaahte hain magar zulm ke khilaaf
gar jang laazmi hai to phir jang hi sahi
hazaar barq gire laakh aandhiyaan uTThein
vo phuul khil ke raheinge jo khilne vaale hain
kaun rotaa hai kisi aur ki khaatir ai dost
sab ko apni hi kisi baat pe ronaa aayaa
milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nigaah-e-ishq dil-e-zinda ki talaash mein hai
shikaar-e-murda sazaa-vaar-e-shaahbaaz nahin