Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
kai jhamelon mein uljhi si bad-maza chaae
udaas mez pe daftar ke kaaghzaat kaa dukh
کئی جھمیلوں میں الجھی سی بد مزہ چائے
اداس میز پہ دفتر کے کاغذات کا دکھ
कई झमेलों में उलझी सी बद-मज़ा चाय
उदास मेज़ पे दफ़्तर के काग़ज़ात का दुख

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa
bahut ghurur thaa biphre hue samundar ko
magar jo dekhaa mire aansuon se kam-tar thaa