Shayari
taklif miT gai magar ehsaas rah gayaa
khush huun ki kuchh na kuchh to mire paas rah gayaa
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
اے غم زندگی نہ ہو ناراض
مجھ کو عادت ہے مسکرانے کی
ऐ ग़म-ए-ज़िंदगी न हो नाराज़
मुझ को आदत है मुस्कुराने की

taklif miT gai magar ehsaas rah gayaa
khush huun ki kuchh na kuchh to mire paas rah gayaa
sirf ik qadam uThaa thaa ghalat raah-e-shauq mein
manzil tamaam umr mujhe DhunDhti rahi
kahte hain umr-e-rafta kabhi lauTti nahin
jaa mai-kade se meri javaani uThaa ke laa
jin se insaan ko pahunchti hai hamesha taklif
un kaa daavaa hai ki vo asl khudaa vaale hain
ik hasin aankh ke ishaare par
qaafile raah bhuul jaate hain
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
miri jaan aaj kaa gham na kar ki na jaane kaatib-e-vaqt ne
kisi apne kal mein bhi bhuul kar kahin likh rakhi hon masarratein
tujh se milne par but-e-bedard ye uqda khulaa
bholi-bhaali shakl vaale hote hain jallaad bhi
itne ghane baadal ke pichhe
kitnaa tanhaa hogaa chaand