Shayari
TuuT paDti thiin ghaTaaein jin ki aankhein dekh kar
vo bhari barsaat mein tarse hain paani ke liye
main ham-nafasaan jism huun vo jaan ki tarah thaa
main dard huun vo dard ke unvaan ki tarah thaa
میں ہم نفساں جسم ہوں وہ جاں کی طرح تھا
میں درد ہوں وہ درد کے عنواں کی طرح تھا
मैं हम-नफ़साँ जिस्म हूँ वो जाँ की तरह था
मैं दर्द हूँ वो दर्द के उनवाँ की तरह था

TuuT paDti thiin ghaTaaein jin ki aankhein dekh kar
vo bhari barsaat mein tarse hain paani ke liye
pahle chaadar ki havas mein paanv phailaae bahut
ab ye dukh hai paanv kyuun chaadar se baahar aa gayaa
shahr ke aabaad sannaaTon ki vahshat dekh kar
dil ko jaane kyaa huaa main shaam se ghar aa gayaa
hamaare dam se hai raushan dayaar-e-fikr-o-sukhan
hamaare baad ye galiyaan dhuaan dhuaan hongi
man dhan sab qurbaan kiyaa ab sar kaa saudaa baaqi hai
ham to bike the aune-paune pyaar ki qimat kam na hui
tere shaidaa bhi hue ishq-e-tamaashaa bhi hue
tere divaane tire shahr mein rusvaa bhi hue
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
adaa huaa hai jo ik lafz be-asaas na ho
miraa khudaa kahin meri tarah udaas na ho
tah kar chuke bisaat-e-gham-o-fikr-e-rozgaar
tab khaanqaah-e-ishq-o-mohabbat mein aae hain
us ke bayaan se hue har-dil-aziz ham
gham ko samajh rahe the chhupaane ki chiiz ham