Shayari
raat hissa hai miri umr kaa ji lene de
zindagi chhoD ke tanhaa mujhe jaati kyuun hai
jaan-ba-lab lamha-e-taskin miri qismat hai 'shamim'
be-khudi phir mujhe divaana banaati kyuun hai
جاں بلب لمحۂ تسکیں مری قسمت ہے شمیمؔ
بے خودی پھر مجھے دیوانہ بناتی کیوں ہے
जाँ-ब-लब लम्हा-ए-तस्कीं मिरी क़िस्मत है 'शमीम'
बे-ख़ुदी फिर मुझे दीवाना बनाती क्यूँ है

kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
jo aaya hai use jaanaa hai ik din
azal se to yahi ik silsila hai
is paraae shahr mein ai kaash koi ye kahe
raat kaa khaanaa hamaare saath khaanaa hai tumhein
hijraton ke karb ko aise chhupaanaa hai tumhein
koi jab bhi haal puchhe muskuraanaa hai tumhein