Shayari
jaan-ba-lab lamha-e-taskin miri qismat hai 'shamim'
be-khudi phir mujhe divaana banaati kyuun hai
raat hissa hai miri umr kaa ji lene de
zindagi chhoD ke tanhaa mujhe jaati kyuun hai
رات حصہ ہے مری عمر کا جی لینے دے
زندگی چھوڑ کے تنہا مجھے جاتی کیوں ہے
रात हिस्सा है मिरी उम्र का जी लेने दे
ज़िंदगी छोड़ के तन्हा मुझे जाती क्यूँ है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dil to rotaa rahe aur aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi rivaayaat ne dil toD diyaa
kyaa lutf hai aise jiine kaa jis ki na kisi ko parvaa ho
kis kaam kaa marnaa vo marnaa jis kaa ki kisi ko gham na huaa
kuchh ehtiraam bhi kar gham ki vaza-daari kaa
giraan hai arz-e-tamannaa to baar baar na kar