Shayari
abhi se chhoTi hui jaa rahi hain divaarein
abhi to beTi zaraa si miri baDi hui hai
ik yahi soch bichhaDne nahin deti tujh se
ham tujhe baad mein phir yaad na aane lag jaaein
اک یہی سوچ بچھڑنے نہیں دیتی تجھ سے
ہم تجھے بعد میں پھر یاد نہ آنے لگ جائیں
इक यही सोच बिछड़ने नहीं देती तुझ से
हम तुझे बाद में फिर याद न आने लग जाएँ

abhi se chhoTi hui jaa rahi hain divaarein
abhi to beTi zaraa si miri baDi hui hai
mujh ko bhi kar degaa rusvaa vo zamaane bhar mein
khud bhi ho jaaegaa badnaam yahi lagtaa hai
khud charaaghon ko andheron ki zarurat hai bahut
raushni ho to unhein log bujhaane lag jaaein
mere aane ki khabar sun ke vo dauDaa aataa
us ko pahunchaa nahin paighaam yahi lagtaa hai
agar bichhaDne kaa us se koi malaal nahin
'shabaanaa' ashk se phir aankh kyuun bhari hui hai
ye to sochaa hi nahin us ko judaa karte hue
chun liyaa hai gham bhi khushiyon ko rihaa karte hue
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
yaad aati hai achchhi si koi baat sar-e-shaam
phir subh talak sochte rahte hain vo kyaa thi
mujh ko ye soch hai jiite hain ve kyun-kar yaa-rab
apne maashuqon se jo shakhs judaa rahte hain
naaseh yahaan ye fikr hai siina bhi chaak ho
hai fikr-e-bakhiya tujh ko garebaan ke chaak mein
pahle har baat pe ham sochte the
ab faqat haath uThaa dete hain