Shayari
tumhein to Thiik se barbaad karnaa bhi nahin aataa
chalo pichhe haTo apni ye haalat main banaataa huun
vaise kyaa ghaTiyaa si shai hai ye tamannaa kaa fareb
aap jaison ko bhi ham jaise taras jaate hain
ویسے کیا گھٹیا سی شے ہے یہ تمنا کا فریب
آپ جیسوں کو بھی ہم جیسے ترس جاتے ہیں
वैसे क्या घटिया सी शय है ये तमन्ना का फ़रेब
आप जैसों को भी हम जैसे तरस जाते हैं

aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
zaahid tiraa to diin saraasar fareb hai
rishte se tere subha ke zunnaar hi bhalaa
sab se baDaa fareb hai khud zindagi 'adaa'
is hila-ju ke saath hain ham bhi bahaana-saaz
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
hamein bhi aa paDaa hai doston se kaam kuchh yaani
hamaare doston ke bevafaa hone kaa vaqt aayaa
dil ke aaine mein jab aap ki surat dekhi
jis ko dhokaa main samajhtaa thaa vo dhokaa bhi gayaa