Shayari
vo na aae to tu hi chal 'rangin'
is mein kyaa teri shaan jaati hai
R
Rangin Saadat Yaar Khanpaa-bos-e-yaar ki hamein hasrat hai ai nasim
aahista aaiyo tu hamaare mazaar par
پا بوس یار کی ہمیں حسرت ہے اے نسیم
آہستہ آئیو تو ہمارے مزار پر
पा-बोस-ए-यार की हमें हसरत है ऐ नसीम
आहिस्ता आइओ तू हमारे मज़ार पर
vo na aae to tu hi chal 'rangin'
is mein kyaa teri shaan jaati hai
mana karte ho abas yaaro aaj
us ke ghar jaaeinge par jaaeinge ham
zulm ki Tahni kabhi phalti nahin
naav kaaghaz ki kahin chalti nahin
baadal aae hain ghir gulaal ke laal
kuchh kisi kaa nahin kisi ko khayaal
jhuTaa kabhi na jhuTaa hove
jhuTe ke aage sachchaa rove
hai ye duniyaa jaa-e-ibrat khaak se insaan ki
ban gae kitne subu kitne hi paimaane hue
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aadmi huun vasf-e-paighambar na maang
mujh se mere dost meraa sar na maang
zindagi jis ne talkh ki meri
vo mujhe zindagi se pyaaraa hai
piine ko yuun to shaikh bhi tayyaar hain magar
kahte hain shart ye hai girah se na zar khule
to kyaa huaa jo janmi thi pardes mein kabhi
beTi hai 'arshiya' bhi to hindostaan ki
abhi to mansab-e-hasti se main haTaa hi nahin
badal gae hain mire doston ke lahje bhi