Shayari
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
main sar-ba-sajda sakun mein nahin safar mein huun
jabin pe daagh nahin aabla banaa huaa hai
میں سر بہ سجدہ سکوں میں نہیں سفر میں ہوں
جبیں پہ داغ نہیں آبلہ بنا ہوا ہے
मैं सर-ब-सज्दा सकूँ में नहीं सफ़र में हूँ
जबीं पे दाग़ नहीं आबला बना हुआ है

yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
bin maange mil rahaa ho to khvaahish fuzul hai
suraj se raushni ki guzaarish fuzul hai
phalon ke saath kahin ghonsle na gir jaaein
khayaal rakhtaa huun patthar uchhaaltaa huaa main
laashon mein ek laash miri bhi na ho kahin
taktaa huun ek ek ko chaadar uThaa ke main
abhi to pahle paron kaa bhi qarz hai mujh par
jhijak rahaa huun nae par nikaaltaa huaa main
main badalte hue haalaat mein Dhal jaataa huun
dekhne vaale adaakaar samajhte hain mujhe
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
ishq vo chaar su safar hai jahaan
koi bhi raasta nahin ruktaa
miri samt manzil ko baDhte jo dekhaa
miraa saath chhoDaa mire rahnumaa ne