Shayari
shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
vo mujhe pyaar se dekhe bhi to phir kyaa hogaa
mujh mein itni bhi sakat kab hai ki dhokaa khaaun
وہ مجھے پیار سے دیکھے بھی تو پھر کیا ہوگا
مجھ میں اتنی بھی سکت کب ہے کہ دھوکا کھاؤں
वो मुझे प्यार से देखे भी तो फिर क्या होगा
मुझ में इतनी भी सकत कब है कि धोका खाऊँ

shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
zabaanein thak chukin patthar hue kaan
kahaani an-kahi thi an-kahi hai
ek se manzar dekh dekh kar aankhein dukhne lagti hain
is raste par peD bahut hain aur haraa koi bhi nahin
khule asraar us par jism ke aahista aahista
bahut din mein use baatein na karne kaa hunar aayaa
bharpur nahin hain kisi chehre ke khad-o-khaal
dekhaa nahin vo chaand jo puuraa nazar aae
ab to insaan ki azmat bhi koi chiiz nahin
log patthar ko khudaa maan liyaa karte the
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yahi insaaf tire ahd mein hai ai shah-e-husn
vaajib-ul-qatl mohabbat ke gunahgaar hain sab
chheDaa agar mire dil-e-naalaan ko aap ne
phir bhuul jaaiyegaa bajaanaa sitaar kaa
laaghar aisaa vahshat-e-ishq-e-lab-e-shirin mein huun
chyunTiyaan le jaati hain daana miri zanjir kaa
kuchh khabar detaa nahin us ki dil-e-aagah mujhe
vahi ke maanind ab mauquf hai ilhaam kaa