Shayari
ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin
kis din bahaar aai main divaana kab huaa
A
Asad Ali Khan Qalaqkuchh khabar detaa nahin us ki dil-e-aagah mujhe
vahi ke maanind ab mauquf hai ilhaam kaa
کچھ خبر دیتا نہیں اس کی دل آگہ مجھے
وحی کے مانند اب موقوف ہے الہام کا
कुछ ख़बर देता नहीं उस की दिल-ए-आगह मुझे
वही के मानिंद अब मौक़ूफ़ है इल्हाम का
ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin
kis din bahaar aai main divaana kab huaa
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa
sindur us ki maang mein detaa hai yuun bahaar
jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyaah mein
phir mujh se is tarah ki na kijegaa dil-lagi
khair is ghaDi to aap kaa main kar gayaa lihaaz
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
yuun ruuh thi adam mein miri bahr-e-tan udaas
ghurbat mein jis tarah ho gharib-ul-vatan udaas
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil ki qimat to mohabbat ke sivaa kuchh bhi na thi
jo mile surat-e-zebaa ke kharidaar mile
aankhein jo uThaae to mohabbat kaa gumaan ho
nazron ko jhukaae to shikaayat si lage hai
koi mausam bhi sazaa-vaar-e-mohabbat nahin ab
zard patton ko havaaon se shikaayat nahin ab
ishq vajh-e-zindagi bhi dushman-e-jaani bhi hai
ye nadi paayaab bhi hai aur tufaani bhi hai