Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
haq rakhe us ko salaamat hind mein
jis se khush lagtaa hai hindostaan mujhe
حق رکھے اس کو سلامت ہند میں
جس سے خوش لگتا ہے ہندوستاں مجھے
हक़ रखे उस को सलामत हिन्द में
जिस से ख़ुश लगता है हिन्दोस्ताँ मुझे

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barahman dair ko raahi huaa aur shaikh kaabe ko
nikal kar us doraahe se main ku-e-yaar mein aayaa
dosti chhuTe chhuDaae se kisu ke kis tarah
band hotaa hi nahin rasta dilon ki raah kaa