Shayari
gham diye hain hayaat ne ham ko
gham ne ham se hayaat paai hai
dil ki haalat agar nahin badli
ehtiyaat-e-nazar se kyaa hogaa
دل کی حالت اگر نہیں بدلی
احتیاط نظر سے کیا ہوگا
दिल की हालत अगर नहीं बदली
एहतियात-ए-नज़र से क्या होगा

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai