Shayari
ab udaas phirte ho sardiyon ki shaamon mein
is tarah to hotaa hai is tarah ke kaamon mein
ghuncha chaTkaa thaa kahin khaatir-e-bulbul ke liye
main ne ye jaanaa ki kuchh mujh se kahaa ho jaise
غنچہ چٹکا تھا کہیں خاطر بلبل کے لئے
میں نے یہ جانا کہ کچھ مجھ سے کہا ہو جیسے
ग़ुंचा चटका था कहीं ख़ातिर-ए-बुलबुल के लिए
मैं ने ये जाना कि कुछ मुझ से कहा हो जैसे

kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo ek lamha jise tum ne mukhtasar jaanaa
ham aaise lamhe mein ik daastaan banaate hain
badan kaa bojh uThaanaa bhi ab muhaal huaa
jo khud se haar ke baiThe to phir ye haal huaa
'shaaz' khud mein hi ganvaae hue khud ko rakhnaa
haath jab tak na koi apni nishaani aae
umr bhar jis ne kisi kaa hukm maanaa hi nahin
nafs kaa apne magar vo shakhs kaarinda rahaa