Shayari
eid ko bhi vo nahin milte hain mujh se na milein
ik baras din ki mulaaqaat hai ye bhi na sahi
buton mein koi bhalaai bhi hai sivaae sitam
buraa ho teraa dil-e-naa-sazaa kidhar aayaa
بتوں میں کوئی بھلائی بھی ہے سوائے ستم
برا ہو تیرا دل ناسزا کدھر آیا
बुतों में कोई भलाई भी है सिवाए सितम
बुरा हो तेरा दिल-ए-ना-सज़ा किधर आया

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aansu miri aankhon se nikal jaate hain aksar
vo daur-e-mohabbat kabhi bhulaa to nahin huun
uDaa hai rafta rafta rang tasvir-e-mohabbat kaa
hui hai rasm-e-ulfat be-viqaar aahista aahista
jiteinge na ham se baazi-e-ishq
aghyaar ke piT paDeinge paanse
ziist se tang ho ai 'daagh' to jiite kyuun ho
jaan pyaari bhi nahin jaan se jaate bhi nahin