Shayari
jaane vaale ko kahaan rok sakaa hai koi
tum chale ho to koi rokne vaalaa bhi nahin
uDaa hai rafta rafta rang tasvir-e-mohabbat kaa
hui hai rasm-e-ulfat be-viqaar aahista aahista
اڑا ہے رفتہ رفتہ رنگ تصویر محبت کا
ہوئی ہے رسم الفت بے وقار آہستہ آہستہ
उड़ा है रफ़्ता रफ़्ता रंग तस्वीर-ए-मोहब्बत का
हुई है रस्म-ए-उल्फ़त बे-विक़ार आहिस्ता आहिस्ता

jaane vaale ko kahaan rok sakaa hai koi
tum chale ho to koi rokne vaalaa bhi nahin
divaar-e-khastagi huun mujhe haath mat lagaa
main gir paDungaa dekh mujhe aasraa na de
kise kahein ki rifaaqat kaa daagh hai dil par
bichhaDne vaalaa to khul kar kabhi milaa hi na thaa
khafaa na ho ki tiraa husn hi kuchh aisaa thaa
main tujh se pyaar na kartaa to aur kyaa kartaa
jise darpesh judaai ho use kyaa maalum
kaun si baat ko kis tarah bayaan honaa hai
ham ko pahchaan ki ai bazm-e-chaman-zaar-e-vajud
ham na hote to tujhe kis ne sanvaaraa hotaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kuchh vo bhi tabiat kaa sukhi aisaa nahin hai
kuchh ham bhi mohabbat mein qanaaat nahin karte
zindagi ho miri netaaon ki surat yaa-rab
ho faqat apni gharaz se hi mohabbat yaa-rab
ye mere ishq ki majburiyaan maaaz-allaah
tumhaaraa raaz tumhin se chhupaa rahaa huun main
husn ko sharmsaar karnaa hi
ishq kaa intiqaam hotaa hai