Shayari
kahe koi kis se sataanaa tumhaaraa
khudaai tumhaari zamaana tumhaaraa
S
Siddiq Ahmad Benazeervahi ab jaan ke dushman bane hain
bigaaDi sab se jin ki dosti mein
وہی اب جان کے دشمن بنے ہیں
بگاڑی سب سے جن کی دوستی میں
वही अब जान के दुश्मन बने हैं
बिगाड़ी सब से जिन की दोस्ती में
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
dosti bad balaa hai is mein khudaa
kisi dushman ko mubtalaa na kare