Shayari
jis ne ik baar bhi surat na tumhaari dekhi
koi is aankh kaa hotaa hai shumaar aankhon mein
S
Siddiq Ahmad Benazeerkahe koi kis se sataanaa tumhaaraa
khudaai tumhaari zamaana tumhaaraa
کہے کوئی کس سے ستانا تمہارا
خدائی تمہاری زمانہ تمہارا
कहे कोई किस से सताना तुम्हारा
ख़ुदाई तुम्हारी ज़माना तुम्हारा
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
tere jaate hi ye huaa mahsus
aaine muskuraanaa bhuul gae
sach baat maan lijiye chehre pe dhuul hai
ilzaam aainon pe lagaanaa fuzul hai
ek din yuun hi lagaa mujh ko ginaane aib mere
vo bhalaa kis munh se kahtaa chhoD jaanaa chaahtaa hai