Shayari
dekhaa hai jis ne yaar ke rukhsaar ki taraf
hargiz na jaave sair kuun gulzaar ki taraf
hai navaasanj-e-haqiqat kuun khayaal
dil ke tambure kaa taar aur hi hai
ہے نوا سنج حقیقت کوں خیال
دل کے طنبورے کا تار اور ہی ہے
hai navāsanj-e-haqīqat kuuñ ḳhayāl
dil ke tambūre kā taar aur hī hai

dekhaa hai jis ne yaar ke rukhsaar ki taraf
hargiz na jaave sair kuun gulzaar ki taraf
boltaa huun jo vo bulaataa hai
tan ke pinjre mein us kaa totaa huun
vaqt hai ab namaaz-e-maghrib kaa
chaand rukh lab shafaq hai gesu shaam
tahqiq ki nazar siin aakhir kuun ham ne dekhaa
akasr hain maal vaale kam hain kamaal vaale
masjid vahshat mein paDhtaa hai taraavih-e-junun
mushaf husn-e-pari-rukhsaar jis kuun yaad hai
vo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liyaa dars nuskha-e-ishq kaa
ki kitaab aql ki taaq par juun dhari thi tyuun hi dhari rahi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
mil hi jaaegaa kabhi dil ko yaqin rahtaa hai
vo isi shahr ki galiyon mein kahin rahtaa hai