Shayari
husn aur ishq donon mein tafriq hai par inhin donon pe meraa imaan hai
gar khudaa ruuTh jaae to sajde karun aur sanam ruuTh jaae to main kyaa karun
T
Tabish Kanpuriishq imaan donon mein tafriq hai
par inhin donon pe meraa imaan hai
عشق ایمان دونوں میں تفریق ہے
پر انہیں دونوں پہ میرا ایمان ہے
इश्क़ ईमान दोनों में तफ़रीक़ है
पर इन्हीं दोनों पे मेरा ईमान है
husn aur ishq donon mein tafriq hai par inhin donon pe meraa imaan hai
gar khudaa ruuTh jaae to sajde karun aur sanam ruuTh jaae to main kyaa karun
teri surat nigaahon mein phirti rahe ishq teraa sataae to main kyaa karun
koi itnaa to aa kar bataa de mujhe jab tiri yaad aae to main kyaa karun
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'aalam' dil-e-asir ko samjhaaun kis tarah
kam-bakht e'tibaar ke qaabil nahin hai vo