Shayari
yuun apne aap ko barbaad kartaa hai koi
ai mere dil tu samajhdaar hai nahin hai kyaa
ab to main aur bhi buraa huun ki
ab ziyaada sudhar gayaa huun main
اب تو میں اور بھی برا ہوں کہ
اب زیادہ سدھر گیا ہوں میں
अब तो मैं और भी बुरा हूँ कि
अब ज़ियादा सुधर गया हूँ मैं

yuun apne aap ko barbaad kartaa hai koi
ai mere dil tu samajhdaar hai nahin hai kyaa
husn hotaa hai kisi shai kaa koi apnaa hi
aur phir dekhne vaale ki nazar hoti hai
banaataa huun main tasavvur mein us kaa chehra magar
har ek baar nai kaaenaat banti hai
aur bhaTkeinge to kuchh aur nayaa dekheinge
ham to aavaara parinde hain hamaaraa kyaa hai
ham to kahte hain mohabbat mein mazaa hai hi nahin
aap kahte hain to phir maan liyaa jaataa hai
tujhe gale se lagaa ke bhi dekhaa jaaegaa
abhi to mujh ko tiraa intizaar karnaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
faraaghat se duniyaa mein har dam na baiTho
agar chaahte ho faraaghat ziyaada
mujhe pata hai usi ne chalaai hai goli
nahin hai dasht mein sayyaad dusraa koi
ji chaahtaa hai saane-e-qudrat pe huun nisaar
but ko biThaa ke saamne yaad-e-khudaa karun
vahm hi vahm mein apni hui auqaat basar
kamar-e-yaar ko bhule to dahan yaad aayaa
dhuup mein kaun kise yaad kiyaa kartaa hai
par tire shahr mein barsaat to hoti hogi