Shayari
gayaa qarib jo parvaana rah gayaa jal kar
jamaal khaas hadon tak jamaal hotaa hai
is dilbari ki shaan ke qurbaan jaaiye
ab dil-dahi ko aae hain jab dil nahin rahaa
اس دلبری کی شان کے قربان جائیے
اب دل دہی کو آئے ہیں جب دل نہیں رہا
इस दिलबरी की शान के क़ुर्बान जाइए
अब दिल-दही को आए हैं जब दिल नहीं रहा

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
rakhkhun kahaan main apne pari-zaad ko 'hasan'
shisha jo ek dil kaa mire hai so chuur hai