Shayari
zaalim ki to aadat hai sataataa hi rahegaa
apni bhi tabiat hai bahalti hi rahegi
majaal-e-tark-e-mohabbat na ek baar hui
khayaal-e-tark-e-mohabbat to baar baar kiyaa
مجال ترک محبت نہ ایک بار ہوئی
خیال ترک محبت تو بار بار کیا
मजाल-ए-तर्क-ए-मोहब्बत न एक बार हुई
ख़याल-ए-तर्क-ए-मोहब्बत तो बार बार किया

zaalim ki to aadat hai sataataa hi rahegaa
apni bhi tabiat hai bahalti hi rahegi
kis tarah husn-e-zabaan ki ho taraqqi 'vahshat'
main agar khidmat-e-urdu-e-muallaa na karun
abhi hote agar duniyaa mein 'daagh'-e-dehlavi zinda
to vo sab ko bataa dete hai 'vahshat' ki zabaan kaisi
qadrdaani ki kaifiyat maalum
aib kyaa hai agar hunar na huaa
dil ko ham kab tak bachaae rakhte har aaseb se
Thes aakhir lag gai shishe mein baal aa hi gayaa
thaa qafas kaa khayaal daaman-gir
uD sake ham na baal o par le kar
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye dard ki hai teri mohabbat ki amaanat
mar jaaeinge is dard kaa darmaan na kareinge
manjdhaar mein naav Duub gai to maujon se aavaaz aai
dariyaa-e-mohabbat se 'kausar' yuun paar utaaraa karte hain
jaane kitne Dubne vaale saahil par bhi Duub gae
pyaare! tufaanon mein rah kar itnaa bhi ghabraanaa kyaa
mujhe to ishq hai phulon mein sirf khushbu se
bulaa rahi hai kisi laala ki mahak mujh ko