Shayari
har marhala-e-gham mein mili is se tasalli
har moD pe ghabraa ke tiraa naam liyaa hai
ye dard ki hai teri mohabbat ki amaanat
mar jaaeinge is dard kaa darmaan na kareinge
یہ درد کہ ہے تیری محبت کی امانت
مر جائیں گے اس درد کا درماں نہ کریں گے
ये दर्द कि है तेरी मोहब्बत की अमानत
मर जाएँगे इस दर्द का दरमाँ न करेंगे

har marhala-e-gham mein mili is se tasalli
har moD pe ghabraa ke tiraa naam liyaa hai
bar-sar-e-aam iqraar agar naa-mumkin hai to yunhi sahi
kam-az-kam idraak to kar le gun be-shak mat maan mire
haal-e-dil us ko sunaa kar hai bahut khush 'kausar'
lekin ab soch zaraa kyaa tiri auqaat rahi
chand lamhon ke liye ek mulaaqaat rahi
phir na vo tu na vo main aur na vo raat rahi
apne vahshat-zada kamre ki ik almaari mein
teri tasvir aqidat se sajaa rakkhi hai
jazbaat mein aa kar marnaa to mushkil si koi mushkil hi nahin
ai jaan-e-jahaan ham tere liye jiinaa bhi gavaaraa karte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
ye zindagi hai apni kabhi khush kabhi udaas
is kashmakash se mujh ko khudaayaa rihaai de