Shayari
hazaaron chaand sitaare chamak gae hote
kabhi nazar jo tiri maail-e-karam hoti
mujhe to ishq hai phulon mein sirf khushbu se
bulaa rahi hai kisi laala ki mahak mujh ko
مجھے تو عشق ہے پھولوں میں صرف خوشبو سے
بلا رہی ہے کسی لالہ کی مہک مجھ کو
मुझे तो इश्क़ है फूलों में सिर्फ़ ख़ुशबू से
बुला रही है किसी लाला की महक मुझ को

hazaaron chaand sitaare chamak gae hote
kabhi nazar jo tiri maail-e-karam hoti
meri tarah se ye bhi sataayaa huaa hai kyaa
kyuun itne daagh dikhte hain mahtaab mein abhi
sab log hamein ek nazar aate hain
andaaza nahin hotaa hai ab chehron kaa
aisaa ho zindagi mein koi khvaab hi na ho
andhiyaari raat mein koi mahtaab hi na ho
tum nahin aaoge khabar hai hamein
phir bhi ham intizaar kar leinge
vo buraai sab se meri kar rahe hain
kyuun nahin karte bayaan achchhaaiyon ko
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
hai shaadaab nafrat kaa jangal bahut hi
mohabbat kaa har peD sukhaa paDaa hai
aankhon se mohabbat ke ishaare nikal aae
barsaat ke mausam mein sitaare nikal aae
ye ashk tere mire raaegaan na jaaeinge
unhin charaaghon se raushan mohabbatein hongi
baDaa hi farq hai ai yaar ham donon ke jazbon mein
tumhein mujh se mohabbat thi mujhe tum se mohabbat hai