Shayari
ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
tamaam din ki talab raah dekhti hogi
jo khaali haath chale ho to ghar nahin jaanaa
تمام دن کی طلب راہ دیکھتی ہوگی
جو خالی ہاتھ چلے ہو تو گھر نہیں جانا
तमाम दिन की तलब राह देखती होगी
जो ख़ाली हाथ चले हो तो घर नहीं जाना

ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
tahrir se varna miri kyaa ho nahin saktaa
ik tu hai jo lafzon mein adaa ho nahin saktaa
raat to vaqt ki paaband hai Dhal jaaegi
dekhnaa ye hai charaaghon kaa safar kitnaa hai
bhare makaan kaa bhi apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-khaane mein raatein guzaarne vaalaa
shartein lagaai jaati nahin dosti ke saath
kiije mujhe qubul miri har kami ke saath
hamaare ghar kaa pataa puchhne se kyaa haasil
udaasiyon ki koi shahriyat nahin hoti
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
na vaaiz hajv kar ek din duniyaa se jaanaa hai
are munh saaqi-e-kausar ko bhi aakhir dikhaanaa hai
miTaane vaale hamaaraa hi ghar miTaanaa thaa
chaman mein ek se ek achchhaa aashiyaanaa thaa
be-khudi kucha-e-jaanaan mein liye jaati hai
dekhiye kaun mujhe meri khabar detaa hai