Shayari
khudaa ne aaj tak us qaum ki haalat nahin badli
na ho jis ko khayaal aap apni haalat ke badalne kaa
naaqus se gharaz hai na matlab azaan se hai
mujh ko agar hai ishq to hindostaan se hai
ناقوس سے غرض ہے نہ مطلب اذاں سے ہے
مجھ کو اگر ہے عشق تو ہندوستاں سے ہے
नाक़ूस से ग़रज़ है न मतलब अज़ाँ से है
मुझ को अगर है इश्क़ तो हिन्दोस्ताँ से है

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yahi to ek tamannaa hai is musaafir ki
jo tum nahin to safar mein tumhaaraa pyaar chale
nafraton kaa ilaaj karnaa hai
kuchh mohabbat ataa karo jaanaan
bulbul ke kaarobaar pe hain khanda-haa-e-gul
kahte hain jis ko ishq khalal hai dimaagh kaa
na aankhon mein aansu na lab par tabassum
mohabbat mein aise bhi lamhaat aae