Shayari
vo apne ‘abd-e-haqiqi ko aazmaataa hai
har ik bashar kaa yahaan imtihaan nahin hotaa
nafraton kaa ilaaj karnaa hai
kuchh mohabbat ataa karo jaanaan
نفرتوں کا علاج کرنا ہے
کچھ محبت عطا کرو جاناں
नफ़रतों का इलाज करना है
कुछ मोहब्बत अता करो जानाँ

vo apne ‘abd-e-haqiqi ko aazmaataa hai
har ik bashar kaa yahaan imtihaan nahin hotaa
vaqt ke paanv bhi nahin mehvar
aur raftaar bhi ghazab ki hai
ghaur se dekhnaa hanste hue chehre ki taraf
ek manzar pas-e-manzar kai manzar degaa
aaj gar bole nahin haq baat par
kal sitam honge tumhaari zaat par
ulfat to dekhiye miri didaar ke sabab
darvesh ban ke yaar ki chaukhaT pe aa gayaa
ek muddat se niind taari hai
ek muddat se so nahin paae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yahin kahin pe adu ne paDaav Daalaa thaa
yahin kahin pe mohabbat ne haar maani thi
vo ishq jis ki zamaane ko bhi khabar na rahi
tire bichhaDne se rusvaa nagar nagar mein rahaa
hamaare ishq mein rusvaa hue tum
magar ham to tamaashaa ho gae hain