Shayari
baahar se chaTTaan ki tarah huun
andar ki fazaa mein tharthari hai
yahaan kisi ko bhi kuchh hasb-e-aarzu na milaa
kisi ko ham na mile aur ham ko tu na milaa
یہاں کسی کو بھی کچھ حسب آرزو نہ ملا
کسی کو ہم نہ ملے اور ہم کو تو نہ ملا
yahāñ kisī ko bhī kuchh hasb-e-ārzū na milā
kisī ko ham na mile aur ham ko tū na milā

baahar se chaTTaan ki tarah huun
andar ki fazaa mein tharthari hai
vo maqaamaat-e-muqaddas vo tire gumbad o qaus
aur miraa aise nishaanaat kaa zaaer honaa
mujh se chhuDvaae mire saare usuul us ne 'zafar'
kitnaa chaalaak thaa maaraa mujhe tanhaa kar ke
dar-e-umid se ho kar nikalne lagtaa huun
to yaas rauzan-e-zindaan se aankh maarti hai
aasmaan par koi tasvir banaataa huun 'zafar'
ki rahe ek taraf aur lage chaaron taraf
jaisi ab hai aisi haalat mein nahin rah saktaa
main hamesha to mohabbat mein nahin rah saktaa
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
ye mere saathi hain pyaare saathi magar inhein bhi nahin gavaaraa
main apni vahshat ke maqbare se nai tamannaa ke khvaab dekhun
hai ek umr se khvaahish ki duur jaa ke kahin
main khud ko ajnabi logon ke darmiyaan dekhun
tiraa visaal baDi chiiz hai magar ai dost
visaal ko miri duniyaa-e-aarzu na banaa
us ko fursat bhi nahin mujh ko tamannaa bhi nahin
phir khalish kyaa hai ki rah rah ke vafaa DhunDhti hai
phunkaa hai kis ne gosh-e-mohabbat mein ai khudaa
afsun-e-intizaar tamannaa kahein jise