Shayari
butaan-e-hind mire dil mein hain dar aae hue
khudaa ke ghar ko ghar apnaa hain ye banaae hue
Z
Zebaaap ko kho ke tum ko DhunDh liyaa
hausla thaa ye mere hi dil kaa
آپ کو کھو کے تم کو ڈھونڈھ لیا
حوصلہ تھا یہ میرے ہی دل کا
आप को खो के तुम को ढूँढ लिया
हौसला था ये मेरे ही दिल का
butaan-e-hind mire dil mein hain dar aae hue
khudaa ke ghar ko ghar apnaa hain ye banaae hue
ye baat baat pe zaahid jo TuuT jaataa hai
dil-e-hazin bhi hamaaraa tiraa vuzu kyaa hai
khudaa ki bhi nahin sunte hain ye but
bhalaa main kyaa huun meri iltijaa kyaa
hans ke phulon ko vo kareinge subuk
rang uDaaeinge ham anaadil kaa
huaa hai ishq mein kam husn-e-ittifaaq aisaa
ki dil ko yaar to dil yaar ko pasand huaa
pahle kyaa thaa jo kiyaa karte the taarif miri
ab huaa kyaa jo buraa ho gayaa achchhaa ho kar
al-madad ai jazba-e-zauq-e-mohabbat al-madad
ishq ne aavaaz di be-ikhtiyaaraana mujhe
main ne har takhrib mein dekhi hai ik taamir bhi
meraa miT jaanaa bhi hai himmat-fazaa mere liye
tamaam umr azaabon kaa silsila to rahaa
ye kam nahin hamein jiine kaa hausla to rahaa
bhaarat ke ai saputo himmat dikhaae jaao
duniyaa ke dil pe apnaa sikka biThaae jaao
vaqt ki gardishon kaa gham na karo
hausle mushkilon mein palte hain
mat baiTh aashiyaan mein paron ko sameT kar
kar hausla kushaada fazaa mein uDaan kaa