Shayari
tumhaare bakhshe hue aansuon ke qatron se
shab-e-firaaq mein taare sajaa rahaa huun main
M
Mahfuzur Rahman Adilmat baiTh aashiyaan mein paron ko sameT kar
kar hausla kushaada fazaa mein uDaan kaa
مت بیٹھ آشیاں میں پروں کو سمیٹ کر
کر حوصلہ کشادہ فضا میں اڑان کا
मत बैठ आशियाँ में परों को समेट कर
कर हौसला कुशादा फ़ज़ा में उड़ान का
tumhaare bakhshe hue aansuon ke qatron se
shab-e-firaaq mein taare sajaa rahaa huun main
usi ne bakhshaa hai mujh ko shuur jiine kaa
jo mushkilon ki ghaDi baar baar aai hai
vo miri aavaaragardi vo miraa divaana-pan
vo miri taazim mein divaar-o-dar kaa jaagnaa
zindagi ko hausla dene ke khaatir
khvaahishon ko reza reza chun rahaa huun
khud mire aansu chamak rakhte hain gauhar ki tarah
meri chashm-e-aarzu mein maah-o-akhtar kuchh nahin
ek din vo zarron ko aaftaab kar leinge
dhuup ke jo khvaahaan hain raat ke andhere mein
hujum-e-gham se mili hai hayaat-e-nau mujh ko
hujum-e-dard se paayaa hai hausla main ne
haqiqatein to aTal hain badal nahin saktin
magar kisi ki tasalli se hausla huaa hai
tiir khaane ki havas hai to jigar paidaa kar
sarfaroshi ki tamannaa hai to sar paidaa kar
subut-e-ishq ki ye bhi to ek surat hai
ki jis se pyaar karein us pe tohmatein bhi dharein
kaam aakhir jazba-e-be-ikhtiyaar aa hi gayaa
dil kuchh is surat se taDpaa un ko pyaar aa hi gayaa
divaar ke us paar jaane ki tamanna hai to phir
himmat juTaa kar tum kabhi divaar Dhaate kyon nahin