Shayari
zabaan par aah rahi lab se lab kabhu na milaa
tiri talab to mili kyaa huaa jo tu na milaa
M
Mazaq Badayuninikal gayaa miri aankhon se misl-e-khvaa-o-khayaal
guzar gayaa dil-e-raushan se vo nazar ban kar
نکل گیا مری آنکھوں سے مثل خواب و خیال
گزر گیا دل روشن سے وہ نظر بن کر
निकल गया मिरी आँखों से मिस्ल-ए-ख़्वाब-व-ख़याल
गुज़र गया दिल-ए-रौशन से वो नज़र बन कर
zabaan par aah rahi lab se lab kabhu na milaa
tiri talab to mili kyaa huaa jo tu na milaa
saat aasmaan ki sair hai pardon mein aankh ke
aankhein khulin to turfa tamaashaa nazar paDaa
ham se vahshi nahin hone ke giraftaar kabhi
log divaane hain zanjir liye phirte hain
vaaiz buton ke aage na furqaan nikaaliye
surat se un ki maani-e-quraan nikaaliye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat kaa mazaa hotaa hai shaadi ke iraade tak
phir is ke baa'd jo hotaa hai sab be-kaar hotaa hai
agarche ishq mein aafat hai aur balaa bhi hai
niraa buraa nahin ye shaghl kuchh bhalaa bhi hai
koi tohfa na haar chaahtaa huun
main faqat teraa pyaar chaahtaa huun
sila diyaa hai mohabbat kaa tum ne ye kaisaa
masarraton mein bhi rone lagi hain ab aankhein