Shayari
mulk to mulk gharon par bhi hai qabza us kaa
ab to ghar bhi nahin chalte hain siyaasat ke baghair
koi aasaan hai bhalaa rishte ko qaaem rakhnaa
girti divaar hai ham jis ko sambhaale hue hain
کوئی آساں ہے بھلا رشتے کو قائم رکھنا
گرتی دیوار ہے ہم جس کو سنبھالے ہوئے ہیں
कोई आसाँ है भला रिश्ते को क़ाएम रखना
गिरती दीवार है हम जिस को सँभाले हुए हैं

mulk to mulk gharon par bhi hai qabza us kaa
ab to ghar bhi nahin chalte hain siyaasat ke baghair
us ko nae safar mein nae ham-safar ke saath
dil khush huaa hai kyon ye ziyaa dekhte hue
tujh se kahaa thaa khushbuein us ke badan ki laaiyo
meraa ye kaam aaj tak tu ne sabaa nahin kiyaa
zindagi rok ke aksar yahi kahti hai mujhe
tujh ko jaanaa thaa kidhar aur kidhar aa gayaa hai
mahfil mere dam se mahfil phir bhi mujh mein
ek bhayaanak tanhaai bhi poshida hai
daanaaon ne ki daanaai muund liin aankhein
chauraahe par qatl huaa paagal ne dekhaa