Shayari
abr se aur dhuup se rishta hai ek saa miraa
aaine aur charaagh ke biich kaa faasla huun main
thoDi si baarish hoti hai
kitni jaldi bhar jaataa huun
تھوڑی سی بارش ہوتی ہے
کتنی جلدی بھر جاتا ہوں
थोड़ी सी बारिश होती है
कितनी जल्दी भर जाता हूँ

abr se aur dhuup se rishta hai ek saa miraa
aaine aur charaagh ke biich kaa faasla huun main
tire ghayaab ko maujud mein badalte hue
kabhi main khud ko tire naam se bulaataa huaa
samajh paayaa nahin par sun rahaa huun
vo sargoshi mein kyaa kyaa kah rahi hai
mere girya se na aazaar uThaane se huaa
faasla tai nai divaar uThaane se huaa
ham apne aap se bhi ham-sukhan na hote the
ki saari mushkilein aasaan mein paDi hui thiin
qatra qatra chhat se hi risne lagi
dhuup kaa rasta na thaa divaar mein
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
aate nahin hain dida-giryaan ke saamne
baadal bhi karte hain miri barsaat kaa lihaaz
shahr ki galiyon mein gahri tirgi giryaan rahi
raat baadal is tarah aae ki main to Dar gayaa
pyaar hi pyaar hai sab log baraabar hain yahaan
mai-kade mein koi chhoTaa na baDaa jaam uThaa
baarish ki bahut tez havaa mein kahin mujh ko
darpesh thaa ik marhala jalne ki tarah kaa
'abr' duniyaa ko chhoD jaane kaa
ik bahaana talaash karnaa hai