Shayari
maut ki aarzu mein divaane
umr-bhar zindagi se laDte hain
'abr' duniyaa ko chhoD jaane kaa
ik bahaana talaash karnaa hai
ابرؔ دنیا کو چھوڑ جانے کا
اک بہانہ تلاش کرنا ہے
'अब्र' दुनिया को छोड़ जाने का
इक बहाना तलाश करना है

maut ki aarzu mein divaane
umr-bhar zindagi se laDte hain
main muskuraataa magar di na ashk ne mohlat
khushi jab ek mili saath gham hazaar mile
lafz yuun khaamushi se laDte hain
jis tarah gham hansi se laDte hain
tujh pe jami hain sab ki nazrein
teri nazar mein kaun rahegaa
aaj insaan ko tapte sahraa mein
bahtaa dariyaa talaash karnaa hai
kyuun haath dil se lagaate ho baar baar apnaa
kyaa dil mein ab bhi koi be-nazir rahtaa hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
qimat mire sone ki vahaan khaak lagegi
ho khaak ki qimat jahaan sone k baraabar
hairat se taktaa hai sahraa baarish ke nazraane ko
kitni duur se aai hai ye ret se haath milaane ko
aankhon mein damak uTThi hai tasvir-e-dar-o-baam
ye kaun gayaa mere baraabar se nikal kar
baadalon ne aaj barsaayaa lahu
amn kaa har faakhta rone lagaa
main vo sahraa jise paani ki havas le Duubi
tu vo baadal jo kabhi TuuT ke barsaa hi nahin