Shayari
har ek lamha tiri yaad mein basar karnaa
hamein bhi aa gayaa ab khud ko mo'tabar karnaa
gham to gham hi raheinge 'zubair'
gham ke unvaan badal jaaeinge
غم تو غم ہی رہیں گے زبیرؔ
غم کے عنواں بدل جائیں گے
ग़म तो ग़म ही रहेंगे 'ज़ुबैर'
ग़म के उनवाँ बदल जाएँगे

har ek lamha tiri yaad mein basar karnaa
hamein bhi aa gayaa ab khud ko mo'tabar karnaa
kitne chehron ke rang zard paDe
aaj sach bol kar himaaqat ki
ek hi ghar ke rahne vaale ek hi aangan ek hi duvaar
jaane kyuun baDhti jaati hai nafrat bhaai bhaai mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil sadaa taDpe hai meraa murgh-e-bismil ki tarah
yaa ki sikhi murgh-e-bismil ne mire dil ki tarah
miri aankhein yahaan tanhaa paDi hain
to us kaa kaun pichhaa kar rahaa hai
gulshan ki faqat phulon se nahin kaanTon se bhi zinat hoti hai
jiine ke liye is duniyaa mein gham ki bhi zarurat hoti hai