Shayari
yuun uThe ik din ki logon ko huaa
abr kaa dhokaa hamaari khaak par
dasht-o-dariyaa ki ibtidaa se hain
ham vahi tiin din ke pyaase hain
دشت و دریا کی ابتدا سے ہیں
ہم وہی تین دن کے پیاسے ہیں
दश्त-ओ-दरिया की इब्तिदा से हैं
हम वही तीन दिन के प्यासे हैं

yuun uThe ik din ki logon ko huaa
abr kaa dhokaa hamaari khaak par
vaapas palaT rahe hain azal ki talaash mein
mansukh aap apnaa likhaa kar rahe hain ham
baiThe baiThe isi ghubaar ke saath
ab to uDnaa bhi aa gayaa hai mujhe
ye kis ne haat peshaani pe rakkhaa
hamaari niind puuri ho gai hai
ravaani mein nazar aataa hai jo bhi
use taslim kar lete hain paani
baiThe baiThe pheink diyaa hai aatish-daan mein kyaa kyaa kuchh
mausam itnaa sard nahin thaa jitni aag jalaa li hai
chaand hai paani mein yaa bhule hue chehre kaa aks
saahil-e-dariyaa pe dekho main bhi hairaani mein huun
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
sab ummidein mire aashob-e-tamannaa tak thiin
bastiyaan ho gaiin gharqaab to dariyaa utraa
miri is chashm-e-tar se abr-e-baaraan ko hai kyaa nisbat
ki vo dariyaa kaa paani aur ye khun-e-dil hai barsaati
chaand bhi hairaan dariyaa bhi pareshaani mein hai
aks kis kaa hai ki itni raushni paani mein hai
husn-e-aaraasta qudrat kaa atiyya hai magar
kyaa miraa ishq-e-jigar-soz khudaa-daad nahin